Bichhad kar tujhse ye mat poochh kis alam me rehta hun.
Khilona khel me jaise kisi bachche ka kho jaaye.
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
Aap ko qurbaniya'n deni padengi soch lo..
Haath phir aage
badhawo dosti ke waaste..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
Taqdeer ke likhe se ulajhna fuzool hai..
Qudrat ke faisale se baghawat na keejye..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.
Do qadam chal kar mai aawu'n khair maqdam keliye..
Itni taaqat bhi kaha'n hai ab tere bimar me..
SHAYIR:
RAFFATH ASIFI
Ba'z tabeere'n ghalat bhi toh huwa karti hain.
Khwab dekho magar aurau ko dikhaya na karo.
SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi
Koyi bhi muflisi me hamara na ban saka..
Halaat jab badal gaye sab yaar ban gaye..
SHAYIR:
SYED ABUBAKER MALIKI,
Bhatkal..
Beti ka haath maangne aaya tha kal koyi..
Soya na ek ghareeb khushi se tamam raat..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT Muzzafar nagari..
Ek ajeeb khushbu se sara ghar mahekta hai.
Ye fazaye'n kehti hain koyi aane wala hai.
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi. (U.P.)
Kyun uthti nahi meri taraf unki nigahe'n..
Itna bhi libas apna purana toh nahi hai..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
Dard maange k dawa ya k gohar maange ab.
Dil paresha'n hai tere gham se woh kya kya maange.
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI
Lucknow
No comments:
Post a Comment