Mai auraq-e-kitabe zindagani jab palat'tha hun..
Nazar har ek varaq par bas teri tasweer aati hai..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
Usne jaate huwe dekha na pukara mujh ko..
Waqt-e-rukhsat woh mujhe bhool gaya ho jaise..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
Maslahat bhi hai usool-e-zindagi bhi hai yahi..
Paow'n phelane se pehle apni chadar dekhna..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT....
Ped khwahish ke lagana toh hai aasaan lekin..
Shakh-e-ummeed pe mushkil se samar lagta hai..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali..
Jugnu bhi dekhte hain Haqarat se ab usay..
Tara jo gir gaya tha kabhi aasman se..
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ, Deobandi (U.P.)
Bhala karo na karo par burayiyo'n se bacho..
Na jaane kis ghadi kis tarha ka azaab aaye..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Zamana kisliye mujh par yu'n zulm dhata hai.
Kabhi hansata hai mujh ko kabhi rulata hai.
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram.
Thess pahoncha kar hamare dil ko woh..
Puchhte hain boliye kaisa laga..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Nethaji nagar,
Vaniyambadi...
Ye hai bazm-e-numayish aur yaha'n chehro pe chehre hain.
Khuloos-o-pyar ka wallah ek chehra nahi milta.
SUHAIL ARSHI
Bhatkal
Pyar sachcha sahi lekin koyi wada na karo..
Aur kisi aur ke wade pe bharosa na karo..
SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.
No comments:
Post a Comment