Tujhe dushmani hai ibadat kado'n se..
Khuda se teri ye baghawat hai kaisi ???
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballapur.
Pyar sachcha sahi lekin koyi wada na karo..
Aur kisi aur ke wade pe bharosa na karo..
SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.
Zamana kisliye mujh par yu'n zulm dhata hai.
Kabhi hansata hai mujh ko kabhi rulata hai.
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram.
Jawoge kaha'n bach ke jab dil me basa lenge..
Kajal ki tarah tum ko aankho'n me sama lenge..
SHAYIR:
SABA DARBHANGVI,
Bihar.
Sari dunya pe andhero'n ki hukmarani hai..
Door karna hai agar inko toh Sooraj ban ja..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama,
Bangalore.
Mai hun aage gardish-e-aiyam hai peechhe mere..
Sar pe hai saya fagan Maa ki dua mere liye..
SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata.
Kuche se mere uska guzar ho toh raha hai.. Kuch dair mere ghar woh taher jaaye toh achha..
SHAYIR:
Ghouse Peer Hamdard.
Manzile'n door sahi phir bhi woh asaan lage..
Hamsafar saath ho gar saath nibhane wala..
SHAYIR:
YAMEEN FAIZI,
Garhi pukhta.
Kuchh bhi na haath aayega tazleel ke siwa..
Dukh dard apna sab ko sunaya na keejye..
SHAYIR:
SYED ABUBAKER MALIKI,
Bhatkal.
Ek aag ka darya sa hai aankho'n me tumhari..
Dil jalta hai mera mujhe dekha na karo tum..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF
No comments:
Post a Comment