Jawoge kaha'n bach ke jab dil me basa lenge..
Kajal ki tarah tum ko aankho'n me sama lenge..
SHAYIR:
SABA DARBHANGVI,
Bihar.
Unse kya mil gayi RAAZ apni nazar..
Har kisi se nazar hum churane Lage..
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ DEOBANDI,
Saharanpur. (U.P.)
Woh sochta tha mujhe phoonk se bujha dega..
Usay khabar hi nahi thi k aftaab hun mai..
SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI,
Saharanpur.
Tere baghair jeene ke hain aur bhi sabab..
Nakam ishq ne mujhe jeena sikha diya..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...
** * **
Chale aate ho be parda sar-e-bazar tum aksar..
Mata-e-husn meri jaan sakhawat yu'n nahi karte..
SHAYIR:
AHMED NAZEER
Dil-e-mayoos me ummeed abhi baqi hai..
Vasl haasil mujhe hoga tera insha'allah..
SHAYIR:
Haneef Shah Shabnam,
Bhatkal..
Shola tamaam umr woh samjhe rahe mujhe..
Is waaste gale se lagaya nahi mujhe..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore....
Khuda ne zindagi de kar hame'n ek raah batla di..
Talashe'n hum wahi rasta hamari zimmedari hai..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama
Har koyi padh raha hai tere dil ki daasta'n..
Chehra bhi ek kitaab hai tu jaanta nahi..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Zindagi ke kya maqasid hain samajh me aayenge..
Tum hisaar-e-zaat se baahar nikal kar dekhiye..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT...
No comments:
Post a Comment