Aaj tak mujh pe huwe ghair ke ehsaan bahut.
Mere vishvas pe apno se mili ghaat mujhe.
SHAYIR:
Ghouse Peer Hamdard,
Davangere
Urdu me
fasahat-wa-balaghat
hai bala ki.
Is sheeri'n zuban se na magar ham ne wafa ki.
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.
(Karnatak)
Bolte toh hain sabhi par jaanta koyi nahi..
Khud hi apne shehr me hai ajnabi Urdu zaba'n..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Apne dost-o-ahbab ke mobile par
GHAZAL4U
Activate keejye, aur
URDU SHAYIRI
ki tarweej keliye hamare saath ta'awoon keejye.
For the promotion and upliftment of
URDU POETRY..
Please co-operate with us by persuading ur
dear ones to activate GHAZAL4U.
Kisi ko pyar nahi jis se bolte sab hain..
Mai bad-naseeb bhi kaisi zaban rakhta hun..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT,
Muzaffar nagar.
Dushmani toh Dushmani hai Dushmani ko chhodiye..
Dosti ke naam se bhi log ghabrane lage..
SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam, Hubli.
Maange baghair hi mile Darya kabhi kabhi..
Tarse hai zindagi kabhi Qatro'n ke waaste..
SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Bangalore.
Iflaas ne chheeni hai masoom hansi warna..
Bachcho ko kisi gham ka ehsaas nahi hota..
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI, Bihar.
Is se ziyada aur bhi mujh par ho kya sitam..
Kis saadgi se tum ne kaha Bewafa hun mai..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.
No comments:
Post a Comment